Roshni
Roshni is also known for happiness, and night for...
Haalat-e-roshni ab jaaye to phir jaaye kidhr
Vo hate agle pal hi waqt kitna jaaye bikhar
Or phir dosh dein hum roshni ko
Aaya hi kyu mehmaan vo jisse jaana tha khaye begair
Aadhi duniya dhaki rakhi roshni se
Phir aadhi pe roshan chaand hai kyu
Khushi k intezaar me bhi nazar atak chuki hai meri chaand pe kyu
Maine bhala krra hai phir chaand ka or suraj ka
Pr kya zikr karu ab mai uss muhrat ka
Waqt ki fitrat hi badalana, pr vo badla hi sirf tab kyu jab laga khubsoorat tha
Kuch log bhatakte rehte roshni ki khoj me
Kuch ko andhere me hi baith k pannah mili
Vo kya krein jo bhi mila hai bas mila hai iss zindagi ko
Unhone dekha nhi kabhi ki yha maut ko saza mili
Kaise lamhe kaise falsafay
Lamho me khyal the ki hum hi kyu na mar sake
Ab vo dikhta mujko har jagah
Jaise bas vo aaye na paas mere
Khadi maut ki tarah hai mooh pe mere har samay.
Responses (0)