Kahani
My story in very short...
san 2016, 15 saal ka tha jab mujko pyar ho gya
duniya dekhi bhi nhi thi jab vo sansaar ho gya
kuch maheene beete zehen me padhai thi to yaar kho gya
or phir leta to aisa lga jaise do saal soo gya
mai utha, vo dikha, or dikha yu k dikhne laga har jagah pe
waqt tha subah hone me maine khawaab bun liye the har tarah ke
muje pta tha vo ho hi ni sakta tha mera jaise vo hi sawera
to khuli aankh saal baad, aaya nazar me kaisa nasha sar chadha hai
laga galat, to panna diya palat, do saal beete bhoola zamee pe vo falak
pr iss baar tha kuch farak rehne laga tha alag khamosh lagi zindagi mai jeete rha magar
phir vo dikha mujko iss kadar ki dar badar bas har taraf mai har taraf se bartaraf uss ishaare pe mai to laangh jata har saradh
jab vo hata nazro k saamne se mai toot k roya pehli baar ishq me
or vo aansu hi bane the phir iss rahi ki saza
kr diya likhna shuru aansu ne li siyahi ki jagah
or dil bana phir kalam bas vo hote rha naram
kyuki chot lagi kaafi baar jiske lage hi na marham
ek din keh di dil ki baatien dikha diya jo bana rakhi thi uski aankhien
waqt laga yakeen krne me usko itna pyar ho jata kaise hazam
phir baat band hue maine likhna bhi chhod diya
rone pe bhi rok tok maine panna phir mod diya
dikha zameen falak me farak ya zameen ban chuki thi narak
tanha itna jada ki kadam uthane laga galat
ro ro k behosh hua kamra bhi ghar se lagta tha ye alag
phir maheeno baad likhna puch k kr diya phir start
halaat to na sudhre pr samajh aane lagi thi baat
maheeno baad phir baatien hone lagi
baato me lage lage raatien hone lagi
jab usse pta chala ki mai uska saaya ho gya
aisi ped k neeche baitha vo, chhaaya ho gya
or phir vo sochta hoga mai gayab ho gya
phir bhi aksharo me chehra khoobsurat hi tha
sukrguzaar hu andhere me usko banaya to gya
tu mere siyahi me basti hai
baarish se bachu kyu gardish ilahi ki chhatri hai
to ghira hoon in baadlon me, baadlon me tu, tu meri aadaton me
manzil ek thi, thi tu pr raaston pe, to chal pada anguthe lene kaagazon pe
Responses (0)