Jaane kyu kuch na bhata isse
bharosa, har mehfil se uth jata hai
wahi ek mann hai neech mera
har mehfil se kuch chahta hai
aas lag hi jati hai
kitna bhi jalao, raakh bach hi jati hai
gham to hissa hai zindagi ka
ab kitna bhi gehra ho, aankh lag hi jati hai
bin bole har dafa jaana hai tumko
yha aakhir kisne pehchana hai mujko
iss intezaar k safar me
din or raat to jaise uthna baithna ho kabar me
Responses (0)