Ab aankhe band krli maine
Ab aankhe band krli maine
Phir kyu mujhko vo dikhti hai
Kehte hai uska shehar alag hai
Phir kyu yaadon mai rehti hai
Ab aankhe band krli maine
To kyu mere sath vo jeeti hai
Kehte hai bhor k sapne sach hote hai
To kyu ye aankhe khulti hai
Ab aankhe band krli maine
Kyu maisab jaan jata hu
Kehte hai, tum kabhi uske nhi ho sakte
Phir kyu use mai chahta hu.
Responses (0)